Would you like to react to this message? Create an account in a few clicks or log in to continue.

insaan ki paidaish

 :: Religion :: Islam

Go down

support insaan ki paidaish

Post by Admin Fri Oct 22, 2010 3:19 pm

Assalamalekum

Bismillahe rahmanur raheem..


Riwayat hai Hazrat Abu Musa say, fermatay hain k main nay Nabi kareem (S.A.W) ko fermatay suna:


Allah Ta’ala nay Adam ko aik muthi (fist) say paida kiya,
jo tamam ruye zameen say li gayi.
Lehaza aulad e Adam zameen kay andazay per ayi.
In main surkh, safaid, kalay aur dermiyanay aur narm o sakht o paleed o paak hain.



  1. Is terhan k Hazrat Izraeel A.S. nay her qism ki zameen say thori thori mitti hasil ki aur us ko her qisam kay pani main goondha. Kyun k Hazrat Izraeel nay he ye mitti uthayi thi, isi liye jaan nikalnay ka kaam bhi un he kay supurd kiya gaya, ta k zameen ki amanat wohi wapis kerain. Maloom hua k Allah Ta’ala kay bandon kay kaam Allah ki taraf mansoob hote hain, dekho mitti Hazrat Izraeel nay jama ki magar fermaya gaya k Allah Ta’ala nay jama fermayi...............................................................................................
  2. Kyun k mitti mukhtalif thien, is liye insaanon ki suratain aur seeratain bhi mukhatlif ho gyien, aur maloom hua k tamam insaanon kay ajza e asaliya Adam main mojud the, jaisa k tamam roohain aap ki pusht main thien..................................................................................................
  3. Yani sanwalay, ya safaidi surkhi say makhloot yani jin ki khalqat main safaid mitti kay ajza ghalib aaye woh safaid ho gaye, kali mitti kay ajza jin main ghalib aaye woh kalay. Jaise insaanon ki mukhatlif sooratain mukhtalif mitti ki wajha say hain aise he in ki seeratain bhi mukhtalif mitti ki wajha se hain. Jin main narm mitti kay ajza aaye woh narm tabiat hai, aur sakht mitti walon ki tabiat bhi sakht, jo gandi mitti say banay woh tabiat kay bhi ganday hain, paak mitti walay tabiat kay paak saaf. Khayal rahay k jaise jism ka asli rang nahi badalta aise he insaan ki asli fitrat nahi badalti. Jaise powder ya syahi ka arzi rang utar jata hai aise he tabiat main arzi halatain tabdeel ho jati hain. Abu jehl ka kufr asli tha jo k na dhul saka, Umer e Farooq ka arzi jo k aik nigha e Mustafa (S.A.W) nay dho k saaf ker diya.
Admin
Admin
Administrator
Administrator

Points : 823
Posts : 289
Reputation : 0
Join date : 2010-05-06
Age : 32
Location : Tambaktooo

http://hujra.co.cc

Back to top Go down

Back to top


 :: Religion :: Islam

 
Permissions in this forum:
You cannot reply to topics in this forum